Thursday, July 12, 2012

Malhar

Aaj fir barish ki fuhaar
mein jeevan hua nav nootan
kahin door krishna ki vanshi par
gopion ne bhuli sudh budh
raag malhar aisa bajaya
gopion sang pashu pakshi
bhi jhoomein honge
are dekho woh vraksh
are woh parbat
are nahin upar aakash bhi thirak utha hai